banner

Sunday, May 30, 2010

chor dia usney ham ko sarey zamaney key liyay..

.
ki thi duwaiyain jo usey paney key liyay
ho gaien beyasar sab usey mananey key liyay

na tha uskey paas khuch hamain dainey ko
lafz they ankahey sarey hamain sunaney key liyay

tha der usey sarey zamney main ruswai ka
miley ham hi faqt usey samjhaney key liyay

uljha hey daman jo ruswaiyon key sath
bachaiy ham hi dil_o_jiger  apna jalaney key liyay

dil lagi key atey they us ko gurr sarey
likh dia dil per naam apna baar baar mitaney key liyay

wasel_e_yaar hi tha shayad naseeb apna
chor dia usney ham ko sarey zamaney key liyay

.

Saturday, May 29, 2010

wo to saaf aashnai sey bhi hamari muker gaiy..

.
simaat janey ki chahat main aur bhi bikher gaiy
chah ki khawish mey hamaisha hi un key ghar gaiy

dehleez pey dil ki jamney na paiy they qadam abhi
wo to saaf aashnai sey bhi hamari muker gaiy

unkey chehrey ki badli rangat ney dehla dia bohut
apni hi nazron sey yaar ham to bohut gir gaiy

begangi_e_yaar ney kuchla hey nafs ko aisa
bey mout hi aj ham to sarapa maar gaiy

weeran makan mey bhatakti ruh ho jasey
aisey hi apni zaat mey ham ujer gaiy
.

dil lagi thi usey ham sey mohabat kab thi..

.
dil lagi thi usey ham sey mohabat kab thi
usey mujh sey piyaar kerney ki zarurat kan thi

her pal her lamha sapna sajaya jis key ktasawur sey
usey mujh sey milney ki chahat kab thi

dukh ki dabeez chader ney lapaitaa mujh ko assa
merey dukh ko sumujhney ki usey fursat kab thi

meri ankhon sey rawan they ashk_e_musalsal
silsala_e_ashk mitaney ki usko nobat kab thi

chaltey chaltey chor diaa thama hath us ney
manzil tak pohunchney ki usko aadat kab thi

zeest ka saffar tey ker sakun uskey hi sath
naam ko uskey naam key sath likhney ki ijazat kab thi

.

Thursday, May 27, 2010

alam_e_madhoshi main ai khuda ham kia ker bethey..

.
josh_e_junun main mohabat ka izhar ker bethey
alam_e_madhoshi main ai khuda ham kia ker bethey

faqt ik nazr hi uthi thi ham per uski
dolat_e_hussan per bhi kiun singhar ker bethey

terey hath ka lams baqi hey merey hath per
ghalti sey us hath ko pani sey dho bethey

rukhsar pey faqt ik till hi to sajaya tha
per terey sanson ki garmi to ham ganwa bethey

ankhon mey kajal lagatey naheen ham ab
manzil ka tasta to kiunkey ham hi kho bethey

meri chunri key rang per gai phekey ab
ham jawani main burhapey ka libada orh bethey

.

her hansti ankh janey ham ko kiun rula gai..

.
aieena_e_waqt main apni hi tasweer dhundala gai
taqdeer hanstey hanstey apni kismat ko sula gai

fareb_e_ waqt main asani sey phanse gai ham
her hansti ankh janey ham ko kiun rulaa gai

waqt chal raha tha apni hi chaal sey
her thoker hamari hi raftar ko dehla gai

lambi musaffat ko tey kia jai kisterah
kanton bhari raah main gulistan naya khila gai

berg_e_awara ki manind urti phirti hon main
taqdeer kis lagan sey tujh ko mujh sey mila gai

.

Wednesday, May 26, 2010

qataal hota rahey koi chahey tum sey baarhaa..

.
tum bhi kisi key dil main uter key dekhna
weeran biyaban jungalon sey guzer key dekhne

soch soch key rakhna qadam mehfilon main
ik baar aiena zaroor sanwer key dekhna

qataal hota rahey koi chahey tum sey baarhaa
pas_e_waffa main ik baar bikhar key dekhna

narawai ka dukh jo kabhi mehsus kero
asar_e_judai ko mehsus dil,jiger key dekhna

bam_o_der sey lipaat ker roo lon gi her daffa
bas ik lamha sahi mujhey tum mur key dekhna

.

Saturday, May 22, 2010

naam ley ley key tera ham bohut nikher jatey hain..

.
tera naam likhtey hain to bikher jatey hain
apni hi adaa per phir ham mer jatey hain

sapney dekhna to her ik ka haaq tehra
jald hi us sey phir kiun bicher jatey hain

terey qurb ki tamana liyay taraptey hain
naam ley ley key tera ham bohut nikher jatey hain

dil ki nagri ka sona pan shamil tehra jewan main
weran bastiyon ki terah janey kun ujer jatey hain

.

Wednesday, May 19, 2010

apni baton sey mujh ko hansaya hi kiun..

.
sath reh ker hona tha mujh sey juda
to merey pass tu aiya hi kiun

door ja ker rulana tha mujh ko ger
apni baton sey mujh ko hansaya hi kiun

merey hissey main likhen thi tanhayan hi jab
dil main mohabat ka phool khilaya hi kiun

chaana tha jewen main andhaira hi jab
aas ka dia mujh main jalaya hi kiun

jab chor jana hi tha mujh ko
ik baar galey sey tu ney lagaya hi kiun

.

Tuesday, May 18, 2010

chor key apni hansi shab_e_matam na manaya kero..

.
umeedon key diyay mat jalaya kero
kisi key kehney main khabi mat aya kero

bhatka ker log door nikal jatey hain bohut
suhaney sapney ankhon main na sajaya kero

dehektey angaron ki manind hey zindagi apni
chor key apni hansi shab_e_matam na manaya kero

teer jab ho jata hey jiger key aar paar
dil key janey per ansu na khabi bahaya kero

khof key sayai rehtey hon charon janib
naader ban key dil ki naagri  chaley jaya kero

.

Monday, May 17, 2010

alam_e_dewangi mey kahan jaon main..

.
aj bhi terey hijr mey yeh alam hey
lab khamosh aur ankh purnam hey

hosh hey na ab raha josh_e_dunya
zeest mey to ab bappa mehshar_e_gham hey

dard ki shidat naheen ab berdasht key kabil
dil_e_natwan to ab sirf  berham hey

naheen maloom tha parr kerna ho ga aag ka darya
gham_e_mohabat ka na ab bacha koi merham hey

amr bail ki terah lipti hain tamam yadain
uski yadain lachey daar uljha sa rasham hey

alam_e_dewangi mey kahan jaon main
bacha zindagi main yehi andohnak gham hey

.

Monday, May 10, 2010

dosri bar koch_e_yaar ko nikal gayay hum..

.
dosri bar koch_e_yaar ko nikal gayay ham
shikasta dili main hi ab khatam ho gai ham

jo shaks bana phirta tha dunya key liyay nasseh
usey ruuh ka katil apni bana gai ham

ik hi shaks sey dooji baar dhoka mila ham ko
pazmurda dili apni zindagi main kun berha gai ham

zindagi bher jis ko dua deney ko hath uthai ham ney
ab ki baar baddua key liyay uski hath utha gai ham

zindagi to ham main jiti hi naheen
apney hi qaad per lashey ka wazen berha gai

.

Sunday, May 9, 2010

Lehja badal gaya to ab wazhatain kesi..

.
terey cheherey ney achanak hi badla jo rang
lehja badal gaya to ab yeh wazahtain kesi


tujh sey door jana hi muqader tehra ager
ab mujh per yeh teri dhairon inaytain kesi


herjai teri to adaiyn theen hamaisha hi nirali
ab keroon main tujh sey shikayatain kesi


buzm_e_yaar key dhokey main taiy kia saffar bohut
terey liyay taiy keroon ab lambi musafatain kesi

.

Teri chahat ko paney key arman bohut hain..

.
dil ko behlaney ko yahan saman bohut hain
teri chahat ko paney key arman bohut hain

apney ujerney ki dastan sunain kis kis ko
ham to pehley hi tangi_e_daman bohut hain

ujrey diyaar ki faseelain nikleen kamzor bohut
yahan dikhaney ko naqli kehkashan bohut hain

chamkeli subeh apna naseeb baney na baney
mahtab ka sath dainey ko zofishan bohut hain

.

Saturday, May 8, 2010

Meri zindagi ajeeb azaab si guzri..

.
meri zindagi ajeeb azaab si guzri
bazaar main biktey soguwar kafan si guzri

daman hi choot gaya uskey hath sey mera
faqt daman_e_taar taar si guzri

chunri main saja bethi mohabat key so rung
bewa ki pekhi muskan si guzri

talabgar thi faqt mohabat key sodey ki
beykar tashteri main saji soghat si guzri

faqt ik khawb hi to sajaya tha manzer main
raat bhar mehw_e_khawb_e_pereshan si guzri

dil key liyay to main sirf dard hi khared saki
yunhen kharey kharey zalzala zudgan si guzri

chaah thi uskey sang ghar bananey ki
koney main peray beykar sar_o_saman si guzri

ik nazar mohabat ki talb thi faqt
mehfil main nachtey majbor khawjasara si guzri

.

Chahtey howey bhi apney sey juda ker nahen pati..

.
kia keron main tujhey bhool nahen pati
aag key is darya ko paar ker nahen pati

ishq ney to berbad ker dia mujh ko
muqadar ko naiy sirey sey kun bana nahen pati

dil sey chahti hoon tera her naqsh mitana
dhotey dhotey bhi naqsh dho nahen pati

tu gerdish kerta hey khoon main meraiy isterah
chahtey howey bhi apney sey juda ker nahen pati

raab attaa keray meri zindagi bhi tujh ko
terey bina janaa ab to ji hi nahen pati

.

Friday, May 7, 2010

Her naya din tumhari hi khabar laata hey..

...
tum kesey ho kahan ho is nagri main
yeh dil mera hamaisha mujh ko batata hey


mujh bin kesey zindagi bitatey ho tum
her naya din tumhari hi khaber laata hey


nazrain fers_e_raah rehti hain deedar ko
sheher bher ka her musafir tum saa nazer ataa hey


gumnami key andhairon main kho gayay bashek tum
her manzer terey khawb sey saja nazer ataa hey


tu kitni baar sochta hey din main mujh ko
meri her sans ka sira tujh tuk hi jataa hey

.

Tum dhondtey hi reh jao gey..

.
kabhi jo hum naheen hon gey

bhala tum kis ko batao gey

apni sari uljhanain ,pashamani main dobey pul

bhala tum kis ko sunao gey

apni ankh key chupey ansou

bhala phir kis ko dikhao gey

bohut beychain aur tanha tum reh jao gey

bohut dhondo gey tum humain mager

tum dhondtey hi reh jao gey

ham na milain gey tumhain phir

tum tanha hi reh jao gey

apney dil ka dard aur chain kahan pao gey

kabhi jo hum naheen hon gey

bhala tum kis ko batao gey

.
...

Wednesday, May 5, 2010

Bad_e_saba us key kaan main holey sey kehna..

.
kanch ki terah toot ker bikher jati hoon bin terey
bazm bhi chup hey aur tanhayan hain bin terey

muztarib hoon teri yaad ko dil main liyay
khamoshi hey dil main weeraniyian hain bin terey

bad_e_saba us key kaan main holey sey kehna
kho gaya hey chain aur beytabiyan hain bin terey

kesey rukain gey merey ashk_e_rawan behtey howey
her teref dukh ki perchaiyan hain bin terey

saraiy mosum mujh ko rulatey hain bohut
dil key angan main ab tabahiyan hain bin terey

.

Zakhmi zakhmi si ab hawain lagti hain..

.
matmi si saari fizaiyain laagti hain
dhoka ab dilber ki adayain lagti hain

loota hey us ney piyaar sey mujhey is qadar
jeenay ki umangain to ab sazayain lagti hain

koi pukaray kitney hi dulaar sey mujh ko
her pukaar zalim ki sadayain lagti hain

mehekti fiza sey mehek sari churali us ney
zakhmi zakhmi si ab hawayain lagti hain

lamhey main tu ney hath jhutka mera isterah
miti miti si hath ki rekhaiyain lagti hain

.

Tuesday, May 4, 2010

Waah kia tuhfa_e_durd_e_dil ata kiya gaya mujhey..

.
dil ki dildariyon ney marwa diya mujhey
tu ney ashkon key siwa kia diya mujhey

tu kis sakoon sey sota ho ga raat bhar
ratjagon ney daar per charha diya mujhey

mera ho ker bhi tu mera na ban saka
apney pan ney her bar gehra zukhum laga diya mujhey

dil_e_natawan ko bhi dharakney sey inkaar hey ab
waah kia tohfa_e_dard_e_dil ata kiya gaya mujhey

naheen chahti key log khudgharz kaheen tujh ko
marjaon is sey pehley key tu bhulaiy mujhey

dewang_e_dil ney ghaseeta hey kanton pey mujh ko
kash alam_e_dewangi main mout a jaiey mujhey

kis bey dardi sey tu ney mujh ko rond dala
baad merney key bhi shayud sakoon na aiy mujhey

.

Lagtey thay ujala phir andhairy raat ho gayay..

.
yaad main teri aksar ham gum ho gayay
pehlay thay gulistan ab ham khander ho gayay

beykaran dukh ney lapait main liya wajood ko isterah
lagtey thay ujala phir andhairy raat ho gayay

tujh sey talauk ka dhaga jo jhutkey sey toota
they thathaain marta samandar ab piyasi naadi ho gayay

ashkon ka sailaab_e_rawan hey behta iskudar
ham they behta saghar phir banjar zameen ho gayay

apney wajood main tanhayon ka sanaata hey itna
mehektey gulon sey ab shajr_e_khizaan ho gayay

.

Monday, May 3, 2010

Ghami main bhi khoshi key lamhon ka hisab rukhna..

.
log kehtey hain,tumhari hansi main ik jahan abad tha
tumhara ana buzm main gulistan bhara khawab tha

ab to bus gayay hain weeraney mery zaat main
pehley to meri haseen zindagi logon ko ik jawab tha

meri zaat thi mehfilon main ronaq ka sabab
ghami main bhi khoshi key lumhon ka hi hisab tha

teri zaat sey talauk jura tha jub tak mera
apney hi urooj per bohut mera shabab tha

to ney jo chor diya achanak akaila mujh ko
tera merey sath hona akhir ko ik saraab tha

.

Zindagi hamarey liyay harf_e_malamat ho gai....

.
dard jo ham ko mila hey tujh sey
jeeney sey ham ko nafrat ho gai

dil ki dharakna ho jai band ab to
hai yeh kia hamarey liyay qiamat ho gai

zeher jo phela hey hamari zindagi main
zindagi hamarey liyay harf_e_malamat ho gai

ab kia sunain us ko gham_e_dastan
her tabahi hamari qismat ho gai

ab khuch naheen jis ko lootay ham sey zamana
aiy sanam ja ab tujh ko ham sey fursat ho gai

.

Wahan tum bethey mujhey socho,yahaan main tum ko....

.
zara ik baat mujhey tum batlao
ham ney bhicher key ik dojey sey bhala kia payaa

teri khushyan juda tujh sey,merey sapney khafa mujh sey
ankhon main nami key siwaa ham ney kia payaa

teri ratain sadyan si,aur merey din naheen kattaiey
dil key dard key siwaa ham ney kia payaa

tum ho zidi to ham hain bohut khudsir
judai ki tenha raton key siwaa hum ney kia payaa

wahan tum bethey mujhey socho,yahaan main tum ko
terapti hayaat key siwaa ham ney kia payaa

zara ik baat mujhey tum batlao
ham ney bhicher key ik dojey sey bhala kia payaa
.

Hawa ney sargoshi main sirf tera naam liyaa....

.
teri yaad main bikhri bikhri rehney lagi hoon
her din her peher ab main roney lagi hoon

hawa ney sargoshi main sirf tera naam liya
apni raah sey main phir bhutakney lagi hoon

teri yaad ney jo dastak di zehen per
khuli ankhon sey main phir soney lagi hoon

terey naam ki khusbu phaily hey charon janib
bin piyay phir sey main behekney lagi hoon

phichley peher jo sapna dekha main ney tera
adhi jagee adhi soi sapney sanjoney lagi hoon

bhulaya hi kub tha main ney tujh ko
terey jism ko orh ker phir sey soney lagi hoon

.

Saturday, May 1, 2010

Shayad us ki nazar main ham shahkar naheen..

.
apni qismat per hamian eitbaar naheen
muskaraney ka hamin ikhtiyar naheen

kehlatey they ham chaman ki bulbul
aangan main ab sunti chehkar naheen

kisa_e_dard sunain ab kis ko
dard main hamarey shayud wo pukar nheen

mujasam khawab kaha jata hey hamain
shayud us ki nazar main ham shahkar naheen

karain ab kis dil sey shayri
tujhey nazar kerney ko ab ashaar naheen

.

Terey sath zindagi ki shaam dekhtey..

.
dard to bohut dekhey zindagi main
kaash koi ik khoshi ham bhi dekhtey

is dil ki durkhan ho jati band
jo tujh ko kabhi rubaru dekhtey

per ham is qabil kahan tehrey
terey dil main apni jaa dekhtey

piyaar milnaa to tehri naseebon ki baat
terey sath zindagi ki ik shaam dekhtey

tera mutabasam chehra rehta hey nigahon main
teri sanson main muntaqil apni sansain dekhtey

.

Logon sey miltey waqt khaas faslaa rakhna..

.
us ney yeh sabaaq dia hey mujh ko
logon sey miltey waqt khaas faslaa rakhna


chahay andaz houn kisi key jitney bhi niraley
mehfilon main bhi apney aap ko tenha rakhna


milaiye koi hath jintni bhi mohabat sey
apney hath hamaisha baandh key rakhna


koi jitna bhi kahey naheen reh saktey tumharey bin
apney aap ko in balaaoun sey dour rakhna


laina chahey tum ko banhon key ghairey main
apney ko in khataoun sey bachaiye rakhna


mutasir na hona kisi ki muskurati nazron sey
dekh key gehra samander paani ki kabhi umeed na rakhna

.

Lehjey main pehley ki halawat naheen rahi..

.
wo silseley wo nisbat naheen rahi
hijr ki qafiyat ab musalsal naheen rahi

to bas gaya hey mujh main is terah sey
tenha rehney ki ab mujhey aadat naheen rahi

bhulana bhi chahon tujh ko to mumkin naheen
terey naam k bhager khuch kerney ki himakat nahen rahi

tujhey apna keh ker milaon kis sey
aisa kerney ki to ab ijazat naheen rahi

kerwahat ghul gai hey mujh main is terah
lehjey main pehley ki halawat naheen rahi

muskarana chahon to muskuraon kis terah
ab kisi terah ki mujh main khasiyat naheen rahi

.