banner

Saturday, April 23, 2011

silsala yeh jana kab tak unhi chaley ga...........

 .
silsala yeh jana kab tak unhi chaley ga
rutha sajan mujh sey kab aan miley ga

din raat guzertey hain jis beykali main
basti_e_dil  main kab mehekta gull khiley ga

chah main teri kab tak safar kerain janhan ka
diyar_e_mehboob ka pata akhir kab chaley ga

zakhm sey nasur bantey dair naheen lagti
dukhon key sagher main khushi ka diaa kab chaley ga

.

Thursday, April 21, 2011

ik chehrey pey kai chehrey sajey hain dunya key...

 .
nafrat si ho gai is beywuqat zindagi sey
janey kia sila miley ga is bandagi sey

siaah raton ki tanhaai sey lagta hey der
bujhi bujhi  si rehti hun is sharmindagi sey

ik chehrey pey kai chehrey sajey hain dunya key
daaman bachaon kesey kisi ki darindagi sey

a bhi jao ger faraib_e_ulfat mey kabhi
bach key raho phr zamaney ki gandagi sey
 .
.

Wednesday, April 20, 2011

tujh ko chahney ka yeh sila mila hey mjuh ko...........

 .
tujh ko chahney ka yeh sila mila hey mjuh ko
chalney ka khizan raston pey hukum mila hey mjh ko

behtey ashkon ki rawani ko kia kahun mey
moj_e_rawan main behney ka hosla mila hey mujh ko

khojti hun tujh mey apney aks  ko kaheen
faqt ik machlta bilakta saya mila hey mujh ko

khudfarabi key sarey andaz muqeed hen mujh mey
derd_e_dil beykaran phir kiun mila hey mujh ko

.