banner

Tuesday, November 10, 2009

kia mera yeh sapna hey..................?

teray uks main apna chehra dekhon
kia hain umungain sub ko bata doon
tera hath thamay door tuk chaloon
kia mera yeh sapna hey..........

teray jazbon ki tapish meray chehray ko lou day
teri zaat key andur main apnay ap ko dhondoon
mitnay na doon teray naqsh_e_pa ko
kia mera yeh sapna hey..........

meri sanson ki dour say
bundha ho teri sanson ka rishta
her khawhish ki inteha too ho
kia mera yeh sapna hey..........

khawb dekhon main khuli ankhon say
takmeel ho un ki teray iradon say
kia mera yeh sapna hey..........

burhai too apna hath meri janib
teri humrahi main guzrey meri zindagi
kia mera yeh sapna hey..........

KAGHUZ KI KASHTI.................

jo kashti main ne kaghaz ki banai thi
uri lehron ke sung sahil pey ai thi
ba asani kaha tha us nay mujh se
zara phir say wohi kashti bana dana.........

jo kashti main ne kaghaz ki banai thi
wo kashti taiz tur tofan main tooti
meri her arzoo meri khushi roothi
zara phir say wohi kashti bana dana.........

jo kashti main ne kaghaz ki banai thi
kinaron ko nahen malum gehrai
jahan sahil wahen lehron ki tanhai
zara phir say wohi kashti bana dana.........

jo kashti main ney kaghaz ki banai thi

DOSTI................

dosti ik payidar rishta hey
sumjho to buri suchai ka rishta hey



iski bareki ko jo sumujh saka hey
dosti ki sarisht main wafa ko rukha hey


jis ko mila zindagi main behtaren dost
her ghum say wo muqabla ker sakta hey

Wednesday, November 4, 2009

Nazuk...............

beray nazuk doar say guzer rahay hain hum
sukon ki talash main awara bhutuk rahey hain hum


zindagi main chahey khosyan hon ya ghum
moat say humkinar hon,khyal yeh jhutuk rahey hain hum


apnay fislon kay khoklay pun ka ahsas hey
sans a rahi hey phir, qun daar per lutuk rahey hain hum


azmaish ki ghari ka taluk kya naseeb say
manzil na mil saki gur,ab khutuk rahey hain hum



,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Jhonka............

ik din milain gay us say,socha hey
khawb to humaisha ik khobsurat dhoka hey


wo hath apna berhai ga,hum seh na pain gay
na janay us ko hum say milnay say kis nay roka hey


dil to pyasa hey pyasa hi reh jai ga
zindagi main apni wo to thundi hawa ka jhonka hey


,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Thursday, October 29, 2009

Sath............

Hum mil ker sub sath rahen
dil nay ki hain humaisha yeh khawhishain

socha asaan ho jain gi munzilain
khawb bun key reh gain yi husratain

her taruf kasi hain yi sazishain
burhti ja rahi hain bohutrunjishain

burhana chahen hum nay ulfatain
per qaim rahain gi shayed yi uljhanain



,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

FARYAAD..........

Zakhum dil pey bohut uthai hain
dhokay her shaks say khai hain


faryaad kerain kis kis say bhala
naseeb apna hum sath lai hain


pelkon ki nok pey tikay hain ansoo
taqdeer nay humaisha hi zulm dhai hain


,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,