banner

Thursday, December 24, 2009

jhilmilata pani..................(ghazal)

us ki ankhon ka jhilmilata pani
suna raha hey mujh ko anokhi kahani

main kesay yeh us ko batoun
burhapey key baad ati nahen wapis jawani

wo chahta hey jungle main phool ugana
tay ker raha hey musafut bury anjani

us key lubon ki muskan kho na jai khahen
nahen chahti main dikhana us ko rah suhani

us key lehjey ka dukh bolney laga hey mujh main
kub khutum ho gi us ki zaat ki yeh werani

praim nugur ki wadyon main kub kho gya wo
meri aur us ki dosti thi buri hi purani

saghar.................(ghazal)

pal main ankhon ka saghar chalak jata hey
janey kun her mour per dil bher ata hey

chamaktey tarey ko dekh ker dua ki ham ney
soch ker yeh,aisey her ik ka jewan sanwar jata hey

kali ghaton key sayi hain charon janib
umeed ka jagta suraj ubharta nazar ata hey

zameen per rakhey kadum mazbut lagtey hain ham ko
per her lamha rait key zarey ki terha phisalta nazar ata hey

arzuwon key deep jaltey hain aj bhi dil main
per diyae ki lau ka timtimana nazar ata hey


................................................................

Thursday, December 3, 2009

december...........

lo a gaya december ka maheena
duer chala gaya hum sey paseena

thithurney luga hey chand bhi ub to
yeh maheena hey saal mey ik nageena

kuhra phaila hey ub to duer taluk
nai saal ka lugta hey yeh zeena

khutum ho raha hey yeh saal ub to
paar lugey ga is saal ka safeena


,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Tuesday, December 1, 2009

kun reh jati hain......................

dil ki batain dil hi main kun reh jati hain
jin ko batana chahen unhi sey chupi kun reh jati hain

chupana chahen apni zaat ko saat perdon main
raakh main chuphi chingaryan kun reh jati hain

hans ker bhulana chahen gur gham_e_dil ko
dil ki galyun main khamosyan kun reh jati hain

samjhana chahen ger apni baat kisi ko
dermyan main phir ghalatfehmyan kun reh jati hain

behlana chahen apney aap ko khushfehmiun sey
ruh main dabi siskyaan kun reh jati hain

zakhum ko apney dil key bhurna bhi chahen
jism main chubhi kirchiyan phir kun reh jati hain





,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

zakhum jub gehra hey...........................

preetum ney praim ki preet jagai kesi
dil main ik nai aas jagai kesi


waqt laga hi deyga ub murhum
zakhum jub gehra hey to dawai kesi


teri janib nazur thi ik saharey key liyay
meray dil ko to ney choat lagai kesi


sukun_e_hayat ki talash main jain kidhur
zukhum_e_ishq mila hey phir ghum ki bhurpai kesi



,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Thursday, November 26, 2009

waraq waraq apni dastan.............

waraq waraq apni dastan suna key roain gey
dastan_e_hayat apny kis kis ko sunain gey

ley jain kahan tota thaka badan
kisa_e_ulfut suna key kis ko lubhain gey

likhey jo khat tujhey khun_e_dil main dabo ker
ab humain zindagi bher wo darain gey

terey sath ki tamana ki thi ham ney
tanhai key din ab akser hamain satain gey



,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Wednesday, November 25, 2009

yeh rishtey kachey dhagey sey.....................................

mera iman tha
ap key rishtey hi ap key
leyay sub khuch
hotey hain
per yeh kia howa
apney beron ka saya
jub sir sey chala jata hey
haqiqut rishton ki samney ai
chan ki awaz ai !!!!!!!!!!!!!!!!
main thora sa ghabrai !!!!!!!!!
khuch ney sabit kya mujh ko dewana

zunjeer asani sey toot gai
kismut mujh sey rooth gai
kasay rishtey,khan key rishtey
matlabi aur farabi rishtey
aah dil sey uthti hey.......
awaz yeh ati hey

yeh rishtay kachey dhagey sey...................

toot jatey hain
hum sey rooth jatey hain
tuptey sehra ki pyas ki manind
yeh rishtey kachey dhagey sey
ik jhutka hi kafi hey
kesi napaidari hey
buchna aei logo !!!!!!!!
yeh rooh to ub pyasi hey

yeh rishtey kachey dhagey sey...........

yeh beynam si khamoshyun
aur udasyan
meray jewun ka muqudur hain

yeh rishtay kachey dhagey sey................


,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,