banner

Friday, January 29, 2010

hum ney kia paya dil lagi ker key

.
dil ka durd pao gey wafa ker key
hum ney kia paya tajurba ker key

terey nam ka tauq hey galay main aj tuk
hum ney kia paya souda ker key

log suntey hain dimagh ki baat
hum ney kia paya dil lagi ker key

us ko malum hi nahen yeh shayad
haar gai hum pass_e_wafa ker key

shab_e_furqat sey jag rahey hain
hum ney kia paya us key nam zindagi busr ker key
.

nungey paon chulna sikha dia

.
aas ka dia jalaya tha main ney
tu ney phonk maar ker bujha dia

main to jalti hoi shama hun
bey awaz pighulana bata dia

hasrat_e_yar ka khawab dokha tha
nungay paon chalna sikha dia

zukhm_e_judai bharay ga key nahen
zinda reh key murna jata dia

nam suntey hain to tera sunbhal jatay hain
sunbhal ker us ney jeena sikha dia
.

baad mout key sukun sey so na sakun gi

.
teray seenay per sir rukh ker ro lungi
judai key ghum ko ansunun sey dho lun gi

etraz_e_wafa hey ya katil naseeb
milan per tujh sey tujhey khojh lon gi

tujey khush dekh ker khush hun main to
apney hisey ki khushyan bhi tugh sey jor lun gi

khairat main hi chund lumhay day day mujh ko
pulkon pey chumktey jugnun sey dil moh lon gi

yeh ghary to ub shayad aa na sakey
baad mout key sukon sey so na sukon gi
.

Thursday, January 28, 2010

muhubat tu ik khusbu hey

.
koi kehta hey tunha hun main
tunhayun main tu sath hey hota

purukhna mut mujhey tum
purukhna khuch acha nahen hota

muhabut to ik khusbu hey
is key hotey koi tenha nahen hota

log sumjhatey hain tum dour ho mujh sey
dour janey sey koi dour nahen hota

sathi to mil jain gey tum ko bohut
her koi merey jasa nahen hota
.

Wednesday, January 27, 2010

mujh ko lugta hey tu sudyon sey soya nahen

.
aas ka dia jo tu ney thamaya tha hath main
main ney is pul ko to jia hi nahen

wo pul wahen thum gaya hey
tu ney merey sath koi supna sunjoya nahen

aa mil key is pul ko ji lain
mujh ko lugta hey tu sadyon sey soya nahen

log aaj bhi chand kehtey hain mujh ko
main ney zameen sey to koi rung liya hi nahen

pai hey main ney ishq ki wo munzil
jahan tu mujh sey alug hota hi nahen
.

shoq_e_deedar main chehra gulabi kertey

.
ishq main bhi hum kia kia zindagi kertey
zindagi jeetay khawab basr tera kertay

kerna ata gur izhar hum ko
khamoshi main bhi guftugu kertay

jo tu aa jata achanak sey
shok_e_dedar main chehra gulabi kertay

tu jo hath burhata meri janib
ghur chor teray dil main ujala kertay

jo tu keh dey key mera hey
sawan chor dhoop nazara kertey

zindagi main shamil ho jai tu gur
nainaan chor jabeen sujda kertey
.

Tuesday, January 26, 2010

ishq main hum ney kia kia dekha

.
ishq main hum ney kia kia dekha
khushi dekhi na koi jaam dekha

had_e_intizar ka pulra khali hey ub
pyaa dekha na koi pyaam dekha

teri turuf nazar uthai to
kissa dekha na koi fasan_e_anjam dekha

jis teer_e_nazr se ho gai ghail
muchalta jazba dekha na gul_e_baam dekha

tasawur ka nager abad tha tujh sey
gull dekha na koi gulzar_e_aam dekha

chor dia meri nugri ko tu ney
tujhey subeh dekha na sir_e_sham dekha
.