banner

Tuesday, February 2, 2010

mujhey taluqat nibhana nahen ata

.
khabon ki terha ankhon main utar jana naheen ata
main kia kerun?mujhey talukat nibhana naheen ata

ghum-e-yar key siwa is dil main rukha kia hey
mujhey khusk ankhon sey zaar zaar rona nahen ata

pichlay pehar ki bat hey tum jo yaad ai mujh ko
phool bun key unchoi kali ko khilana nahen ata

sukut-e-shub main jaag rahi hon main
masiha bun key kisi key dil main uter jana nahen ata

muskurahet chin gai hey lubon sey is terha
sur bun key mujhey dhemey say gungunana naheen ata

rug_e_jaan sey kareeb hey jo meri
dil say dil tuk pegham_e_wafa pouhchana nahen ata

batana bhi chahon apney dil ki baat us ko
far_e_b tabusum sey kisi ko behlana nahen ata
.

Monday, February 1, 2010

mujh ko rawa hey us key dar ka sujda

.
bina neend key hum sotey hain aksur
kisi apney ko khyalon main khotey hain akser

is ishq main khack ho jain gey
her zukhum alaow ka subub bunta hey akser

mujh ko rawa hey us key dar ka sujda
dil ka durd turupney ka maza deta hey akser

mathey ki bindya munzil ka pata deti hey
manzil ko pohunchna khush fehmi ka subub bunta hey akser

dewana bana key us ney thukra dya mujh ko
mehfil main tanha nazr ata hey wo akser
.

Friday, January 29, 2010

teri nigahon ka dilasa ho mujhey

.
hairut hey piyar hey hum ko jis sey
wo bohut dur bohut dur rehta hey

na janey kia hal ho is dil ka
jub tu ankhon key samney ai

char soo tery mekh hey phaily
her jaa tu hi tu nazr ai

tery nighon ka dilasa ho mujhey
jo tu duur sey mujh sey milney ai

ankhon sey chamaktey jugnu ruk jain
jo tera nam meray nam key sath ai
.

hum ney kia paya dil lagi ker key

.
dil ka durd pao gey wafa ker key
hum ney kia paya tajurba ker key

terey nam ka tauq hey galay main aj tuk
hum ney kia paya souda ker key

log suntey hain dimagh ki baat
hum ney kia paya dil lagi ker key

us ko malum hi nahen yeh shayad
haar gai hum pass_e_wafa ker key

shab_e_furqat sey jag rahey hain
hum ney kia paya us key nam zindagi busr ker key
.

nungey paon chulna sikha dia

.
aas ka dia jalaya tha main ney
tu ney phonk maar ker bujha dia

main to jalti hoi shama hun
bey awaz pighulana bata dia

hasrat_e_yar ka khawab dokha tha
nungay paon chalna sikha dia

zukhm_e_judai bharay ga key nahen
zinda reh key murna jata dia

nam suntey hain to tera sunbhal jatay hain
sunbhal ker us ney jeena sikha dia
.

baad mout key sukun sey so na sakun gi

.
teray seenay per sir rukh ker ro lungi
judai key ghum ko ansunun sey dho lun gi

etraz_e_wafa hey ya katil naseeb
milan per tujh sey tujhey khojh lon gi

tujey khush dekh ker khush hun main to
apney hisey ki khushyan bhi tugh sey jor lun gi

khairat main hi chund lumhay day day mujh ko
pulkon pey chumktey jugnun sey dil moh lon gi

yeh ghary to ub shayad aa na sakey
baad mout key sukon sey so na sukon gi
.

Thursday, January 28, 2010

muhubat tu ik khusbu hey

.
koi kehta hey tunha hun main
tunhayun main tu sath hey hota

purukhna mut mujhey tum
purukhna khuch acha nahen hota

muhabut to ik khusbu hey
is key hotey koi tenha nahen hota

log sumjhatey hain tum dour ho mujh sey
dour janey sey koi dour nahen hota

sathi to mil jain gey tum ko bohut
her koi merey jasa nahen hota
.