banner

Sunday, February 14, 2010

kesey chalay aiy dil un ko pata..

.
murtay hain hum jin key lyay
kasey chalay aiy dil un ko pata

aiy dil ik din jub durd uthey
kia karun main phir us ki dawa

bata phir jaon main kahan
kia un key dil main hey meri jaga

naey din hain nai hain rahain
supney sujaey main jaon kahan

ishq ki dour ki mazbuti to dekho
chour ker ub tum jao gey kahan
.

Friday, February 12, 2010

do lufzon main shuru hamari prem kahani

.
doo lufzon main shuru humari prem kahani
tu mera raja main teray dil ki raani

aasha key deep hain dil main jagey
khutum ho gi jald dil ki weerani

supnoon ki dunya aur naey rupe
teri saadain aur sham suhani

do jism ik jaan hain hum
prem nager key basiyun ki bary piyari kahani
.

chehrey per kai cheherey saja ker

.
chehrey per kai chehrey saja ker miltay hain log
phir dunya ki bheer main kho jatey hain log

na karna yaqeen ainda kisi dil walay ka
asani sey berbad ker key nilal jatey hain log

mohubut to hey ik khubsurut dhoka
mohubut ka dhoka asani sey dey jatey hain log

dil bujh ker bhi puthur nahen hota
dil ko durd sey ashna ker key chalay jatey hain log
.

maan key anchel ney mushkilun sey butchaya

.
maan key anchel nay mushkilun say buchaya muj ko
gir gir key chalna humasha sikhaya mujh ko

fitna_e_dunya sey buchna sikhaya mujh ko
her dum naya supna banana sikhaya mujh ko

dukh ki leher nay jub mujhey tor diya
apney pechey chupa ker buchaya mujh ko

khof sey ub main bachon kis terha
andhera chor ujala kerna bataya mujh ko

aiy maan ub jeena hey muhal
dunya sey lurna kub sikhaya mujh ko

zukhmon sey ub khun risney laga hey
apnon sey door na jana,kun sumjhaya mujh ko
.

socho to badnasebiyan hain bohut

.
sakut-e-hayyat main hain talkiyan hain bohut
socho to budnasebiyan hain bohut

ai gi bahar gulshan main khabi
dekho to khushfehmiyan hain bohut

ankhon ko adaat ho bersat ki
bersat ki hain seher angaziyan bohut

diyay ki lo mudhum julti ho
lo ka kam humasha sulugna bohut

dil gur bujh jai kisi ka
bujh ker us ka pather hona bohut
.

Thursday, February 11, 2010

sawan ki hey yeh kesi jhuri

.
rim jhim rim jhim phowar pari
sawan ki hey yeh kesi jhuri

muti ki yeh sondhi khushbu
jul thul jul thul kerta pani

asman ka hey rung nikhera
ujli ujli si hury bhury wadiayan

onchey onchey pahar hain kharey
purwa chali mery angnai main

qoso qazah key rung hain sarey
sawan ka hey kamal sara

hoi hey yeh sham beri suhani
rim jhim rim jhim phowar pery
.

terey dil key uthtey tofanon ki...

.
tu chup hey bohut magar khamosh nahen
teray dil key uthtay tufanon ki kia mujhey khaber nahen

teri mohabut ka suruj chumkey ga ik din
kunkey raat undhairy hey bohut per kali nahen

faraib-e-sheher ka hey mujh ko yaken
tery baton ka sahara hey per dilasa nahen

sawarey ga tu pyar sey meray mathey ki jholti lut
itamad hey is ka mujhey per yaqeen nahen
.