banner

Friday, February 19, 2010

yeh dil puri terha roya naheen abhi..

.
tery yaad ka mousam gaaya naheen abhi
yeh dil puri terha roya naheen abhi

tasawur main tujhey dekhtey hain apney kareeb
suhaney supnon ka mosum gaya naheen abhi

meri matai_e_ zindagi ik wo hi to hain
apni jaan sumujhney ka mosum gaya naheen abhi

gull to sirf mehektey hain chaman main
kanton sey ulujhney ka mosum gaya naheen abbhi

husrut hey pyaar key do boul kahain wo
pugdundun pey chulney mosum gaya naheen abhi

.

jeet ker bhi haar key siwa kia paaya main nai..

.
ik faqt gunah_e_muhubat kia main ney
budley us key zindagi sey kia paya main ney

wo is terha rehta tha sath sath
jeet ker bhi haar key siwa kia paya main ney

us ko dur tha zamaney ki ruswayun ka
zindagi ko apni ujaar key kia paaya main ney

dusht_e_tunhai main chor dia mujh ko
ulfaat ka sila judai key siwa kia paaya main ney

zukhum_e_judai day gaya mujhey wo
zindagi us key naam ker key kia paaya main ney

ashkon ki bursat ub thumti naheen
buzm_e_dil saja ker us sey,kia paaya main ney

.

main piyasi nadi hun..

.
piyaa tu hey saghar
main piyasi naadi hun

ik baar galey laga ley mujh ko
main ik mehekti kali hun

meri nindya,chain lota dey mujh ko
tujh sey aur main kia chahti hun

tu hey door mery
main tery kati patung hun

.

Monday, February 15, 2010

janey kun bey karar rehta hey dil..

.
turusta hey dil turupta hey dil
janey kun bey qarar rehta hey dil

ashkon ka sailaab hey rawan
teraiy hi naam per kun dhurukta hey dil

terey naam ka hey jalta dia
teri judai main kun turupta hey dil

mery shaiyri innayat hey teri
teri bey rukhi per kun sisakta hey dil

yeh nuqesh mitaey nahen mittata
teraiy ishara per kun behukta hey dil

kahan lay jaon thuka toota badan
judai key dar sey kun pighulta hey dil

.

Sunday, February 14, 2010

kesey chalay aiy dil un ko pata..

.
murtay hain hum jin key lyay
kasey chalay aiy dil un ko pata

aiy dil ik din jub durd uthey
kia karun main phir us ki dawa

bata phir jaon main kahan
kia un key dil main hey meri jaga

naey din hain nai hain rahain
supney sujaey main jaon kahan

ishq ki dour ki mazbuti to dekho
chour ker ub tum jao gey kahan
.

Friday, February 12, 2010

do lufzon main shuru hamari prem kahani

.
doo lufzon main shuru humari prem kahani
tu mera raja main teray dil ki raani

aasha key deep hain dil main jagey
khutum ho gi jald dil ki weerani

supnoon ki dunya aur naey rupe
teri saadain aur sham suhani

do jism ik jaan hain hum
prem nager key basiyun ki bary piyari kahani
.

chehrey per kai cheherey saja ker

.
chehrey per kai chehrey saja ker miltay hain log
phir dunya ki bheer main kho jatey hain log

na karna yaqeen ainda kisi dil walay ka
asani sey berbad ker key nilal jatey hain log

mohubut to hey ik khubsurut dhoka
mohubut ka dhoka asani sey dey jatey hain log

dil bujh ker bhi puthur nahen hota
dil ko durd sey ashna ker key chalay jatey hain log
.