banner

Tuesday, February 23, 2010

ishq ney ker dia nikama mujhey..

.
ishq ney ker dya nikama mujhey
alam sara bhula dya mujhey

dil ki her dhurkun hey dastan_e_ishq
kia sey kia bana dya mujhey

teri her adaa ka subub bana ishq
zehr_e_katil bana dia mujhey

aur khuch to ab sojhta naheen
ustad_e_ishq bana diya mujhey

is aag ney jala diya mujh ko
soz_e_ishq ney tapa diya mujhey

sona ishq aur jagna ishq
khumar_e_ishq sikha diya mujhey

ub ishq hi ishq hey ishq hi ishq
ishq ney ker diya nikama mujhey

.



dar hey us ki di kasam toot na jai kaheen..

A.
zeest mujhey asay ajeeb mour pey lai hey
atka howa apna dum toot na jai kaheen

ki hain us ney jo karam nawazyan
dar hey us ki di kasam tout na jai kaheen

ub zabt key lumhon main usey yaad na kerna
aiy ankh tera bharam tout na jai kaheen

tum meray dil ki dunya main ub na ana
ankhon ka halqa_e_bund tout na jai kaheen

dar hey tujhey dhondney niklon kaheen
purani yadon ka khol tout na jai kaheen

.

Saturday, February 20, 2010

kesey katey gi umarya sari..

.
tenha ub waqt guzurta naheen
jewan ka koi lumha surukta naheen

kesey katey gi umarya saari
tujh bin ub dil lugta naheen

ishq ka chand hey joben per
zameen key kareeb khuch lugta naheen

tu hey ruuh main samaya is terha
apna aap to dunya main lugta naheen

meri buzm main aa ker to dekh
gulshan main koi phool khilta naheen

mer jain gey tujh bin to hum
saanse ka sira tujh sey kun jurta naheen

.

Friday, February 19, 2010

yeh dil puri terha roya naheen abhi..

.
tery yaad ka mousam gaaya naheen abhi
yeh dil puri terha roya naheen abhi

tasawur main tujhey dekhtey hain apney kareeb
suhaney supnon ka mosum gaya naheen abhi

meri matai_e_ zindagi ik wo hi to hain
apni jaan sumujhney ka mosum gaya naheen abhi

gull to sirf mehektey hain chaman main
kanton sey ulujhney ka mosum gaya naheen abbhi

husrut hey pyaar key do boul kahain wo
pugdundun pey chulney mosum gaya naheen abhi

.

jeet ker bhi haar key siwa kia paaya main nai..

.
ik faqt gunah_e_muhubat kia main ney
budley us key zindagi sey kia paya main ney

wo is terha rehta tha sath sath
jeet ker bhi haar key siwa kia paya main ney

us ko dur tha zamaney ki ruswayun ka
zindagi ko apni ujaar key kia paaya main ney

dusht_e_tunhai main chor dia mujh ko
ulfaat ka sila judai key siwa kia paaya main ney

zukhum_e_judai day gaya mujhey wo
zindagi us key naam ker key kia paaya main ney

ashkon ki bursat ub thumti naheen
buzm_e_dil saja ker us sey,kia paaya main ney

.

main piyasi nadi hun..

.
piyaa tu hey saghar
main piyasi naadi hun

ik baar galey laga ley mujh ko
main ik mehekti kali hun

meri nindya,chain lota dey mujh ko
tujh sey aur main kia chahti hun

tu hey door mery
main tery kati patung hun

.

Monday, February 15, 2010

janey kun bey karar rehta hey dil..

.
turusta hey dil turupta hey dil
janey kun bey qarar rehta hey dil

ashkon ka sailaab hey rawan
teraiy hi naam per kun dhurukta hey dil

terey naam ka hey jalta dia
teri judai main kun turupta hey dil

mery shaiyri innayat hey teri
teri bey rukhi per kun sisakta hey dil

yeh nuqesh mitaey nahen mittata
teraiy ishara per kun behukta hey dil

kahan lay jaon thuka toota badan
judai key dar sey kun pighulta hey dil

.