banner

Thursday, March 4, 2010

rehti hun tery banhon key ghairay main..

.
tum aj kul kis uljhan main rehtey ho
lagta hey kisi kashmakash main rehtey ho

ayaan kerti hain tery ankhain raaz sarey
na janey kis khali makan main rehtey ho

ik baar palat ker dekho meri janib
kuin soodo ziyaan sey beykarar rehtey ho

teri raah main khari hoon rusta tuktey
phir kun qismat sey naraz sey rehtey ho

ik isharay ki muntizer hon teraiy
phir mujh sey kiun faslon pay rehtey ho

rehti hon teri banhon key ghairay main
kun phir dusht_e_tanhai main rehtey ho

.

chahat rehti hey chahat sey door..

.
dunya ney banaya hey kesa yeh dastoor
chahat rehti hey chahat sey door

hath ki lakeeron sey khuch nahen hota
muqadar rehta hey insanon sey door

naddy main pani yuqja ho to kia
kinara rehta hey kinarey sey door

chaand ka naseeb hey ulug rehna
tarey rehtay hain us sey bhi door

sumander main pani rehta hey to kia
leher rehti hey doji leher sey door

.

higr ka tara doob hi jai shahyad..

.
seh ker ghum hum muskaraiy jatey hain
bina umang hum kesey jiyay jatey hain

ansu girtey hain pulkon key band ko toor ker
saber ki humarey toheen kiyay jatey hain

tum mukader azmaney ki baat kertey ho
zindagi paheli si hum baser kiyay jatey hain

hijr ka tara doob hi jai shayad
ik sans hi zindagi ko jiyay jatey hain

rifaqaton ki haseen ruut shayad aa hi jai
zeher_e_zindagi jhoom key piyay jatey hain

maaiy peenay ka salika na aya hum ko
kurbat main teri tunha jiyay jatey hain


.

un ki awaz sun ker dil ka sukon dhondti hun..

.
deewani hun pagal supney key pechey doorti hun
andhyari gali main rooshni ka manba dhondti hun

thak gai hain kadam chultey chultey merey
weraney main mehekta gulistan dhondti hun

ruuh main basi hain dhairon wehshtain
sayahi main diyay ki lou dhondti hun

kanton ney ker diya laholahan budun ko
apney zakhmon key lyay murhum dhonti hun

dil ka durd ho gaya ub sawa
dhurkan apni rokney ka bahana dhondti hun

khali hey daman kisi bhi dalasey sey
khairat hi key chund alfaz dhondti hun

dhurkta hey dil un ki doory ka soch ker
un ki awaz sun ker dil ka sakoon dhondti hun

mer jaon to shayad un ko ho yaqeen
shehr_e_ khamoshan main khud apni jaa dhondti hun

.

Tuesday, March 2, 2010

judai key lumhon ko shumar keron ger..

.
beytab_e_dill apney urooj per hey
kun dil zukhmon sey chur hey

beybasi ka matam keron apni kesey
buden ub thakan sey chur hey

judai key lumhon ko shumar keron ger
khoshi ka falsafa hum sey bohut door hey

tery nazr_e_inayat hey jub sey
uks apna hi misl_e_hoor hey

mushkil hey durd_e_dil ko burdast kerna
jan_e_tamana tu ab kun mujh sey door hey

.

Monday, March 1, 2010

safeena saahil pey aa key dobey ga kia..

.
terey naam ka dil main jalta howa diya
dunya ki andhyun sey bhujey ga kia

yeh jaan to chulti terey naam peh
safeena sahil pey aa key dubey ga kia

dil ki her dhurkun hey tujhi sey
din aur raat ab budlain gey kia

zindagi tu luta hum ney tujh per
zindagi mout ki suret ho gi kia

ruuh per likha hey tera hi naam
ruuh ka jism sey ab taluk hey kia

kash mera dil kaghuz ka ik tukra hota..

.
kash mera dil kaghuz ka ik tukra hota....!

jo likhna chachti likhti us per..

jo chachti mitati..

judai ki tasweer na hoti us per..

dukh ka koi chehra na  hota us per..

kash mera dil kaghuz ka ik tukra hota.....!

din main sou sou baar tukrey kerti us key..

 kerti us ko faza key hawaley..

apni beychani ko superd kerti us key..

apni dewangi kerti hawaley us key..

phir beth  key atth atth ansu roti..

kash mera dil kaghuz ka ik tukra hota.....!

bhurta jub durd sey dil to..

jatan mitaney key us ko so so kerti..

mit mit jatey sarey hurf ansuwon sey..

kash mera dil kaghuz ka ik tukra hota.....!