banner

Sunday, March 7, 2010

tum merey ander rehtey ho..

.
main khud ko samaiton kesey?
tum merey ander rehtey ho..
kun bikherey bikherey rehtey ho?
merey sang sang chaltey rehtey ho..
kabhi sanson main bas jatey ho..
kabhi dharkan main samatey ho..
main khud sey pouchti rehti hon.

tum kun sang sang rehtey ho?
merey sajdon main,mari namazon main
tum kun agey agey rehtey ho..
dua ban key hamasha labon pey sajtey rehtey ho..
main tum ko dhondti rehti hon !
kun mujh main samayey rehtey ho?

tum merey ander rehtey ho..
kabhi ankhon main samatey ho..
her manzer kun bun jatey ho?
aah ban ker kabhi ander uter jatey ho..
aas ban ker phir dharaas  tum ban jatey ho..

main khud ko samaiton kaisey?
tum merey ander rehtey ho..
kun bikherey bikherey rehtey ho..
tum merey ander rehtey ho..

.

Friday, March 5, 2010

dekh hasrat_e_chah main hum kahan tuk aa gaiy..

.
dekh hasrat_e_chah main hum kahan tak aa gaiy
ankh sey ansu na gira,zamaney sey takra gaiy

pather sey ho ker faana ho rahey hain
dard_e_dil key sath hum yeh kahan tuk aa gaiy

tujh sey juda ho ker jain gey kahan
quffs main phuphurati ruuh liyay hum tharra gaiy

kab kerey gi ruuh perwaz apni
isi chah main hum apni berbad zindagi bita gaiy

khush rahey tu hamasha apni dunya main
hamarey shehre_e_khamoshan main janey key din aa gaiy

niqal hi diya hey tum ney dunya sey apni humain
apna jusd_e_khaki uthwaney key waqt aa gaiy

.

Thursday, March 4, 2010

asman sey zameen pey mujhey gira diya..

.
tera hukum sir ankhon per hey sanam
ik hi jhutukey main asman hila diya

bund galyon main chor diya mujh ko
asman sey mujhey zameen per gira diya

tujh ko chora hey,jina bhi chor dain gey
shukrya sanam tu ney mujhey mout sey mila diya

dil to tha hi naheen jaan bhi tujh per waar di
terey ik jumley ney tun mun mera jala diya

jeena chahain bhi to ji na sakain gey ub
ruuh ko jism sey juda tu ney ker wa diya

hukum daina tha to dunya chor janey ka daita
chalo shaher_e_khamoshan  key darban sey milwa diya

bohut nazdeek hun is shaher ki faseel key ub
jis waqt ka tha intizar us sey kareeb kerwa diya

hasrat thi wahan tuk teri banhon main jatey
jis aas main hum ney zindagi ko apni bita diya

terey guraiz ney barbad ker diya mujh ko
meri khushyun ko tu ney kabr main sula diya

.

rehti hun tery banhon key ghairay main..

.
tum aj kul kis uljhan main rehtey ho
lagta hey kisi kashmakash main rehtey ho

ayaan kerti hain tery ankhain raaz sarey
na janey kis khali makan main rehtey ho

ik baar palat ker dekho meri janib
kuin soodo ziyaan sey beykarar rehtey ho

teri raah main khari hoon rusta tuktey
phir kun qismat sey naraz sey rehtey ho

ik isharay ki muntizer hon teraiy
phir mujh sey kiun faslon pay rehtey ho

rehti hon teri banhon key ghairay main
kun phir dusht_e_tanhai main rehtey ho

.

chahat rehti hey chahat sey door..

.
dunya ney banaya hey kesa yeh dastoor
chahat rehti hey chahat sey door

hath ki lakeeron sey khuch nahen hota
muqadar rehta hey insanon sey door

naddy main pani yuqja ho to kia
kinara rehta hey kinarey sey door

chaand ka naseeb hey ulug rehna
tarey rehtay hain us sey bhi door

sumander main pani rehta hey to kia
leher rehti hey doji leher sey door

.

higr ka tara doob hi jai shahyad..

.
seh ker ghum hum muskaraiy jatey hain
bina umang hum kesey jiyay jatey hain

ansu girtey hain pulkon key band ko toor ker
saber ki humarey toheen kiyay jatey hain

tum mukader azmaney ki baat kertey ho
zindagi paheli si hum baser kiyay jatey hain

hijr ka tara doob hi jai shayad
ik sans hi zindagi ko jiyay jatey hain

rifaqaton ki haseen ruut shayad aa hi jai
zeher_e_zindagi jhoom key piyay jatey hain

maaiy peenay ka salika na aya hum ko
kurbat main teri tunha jiyay jatey hain


.

un ki awaz sun ker dil ka sukon dhondti hun..

.
deewani hun pagal supney key pechey doorti hun
andhyari gali main rooshni ka manba dhondti hun

thak gai hain kadam chultey chultey merey
weraney main mehekta gulistan dhondti hun

ruuh main basi hain dhairon wehshtain
sayahi main diyay ki lou dhondti hun

kanton ney ker diya laholahan budun ko
apney zakhmon key lyay murhum dhonti hun

dil ka durd ho gaya ub sawa
dhurkan apni rokney ka bahana dhondti hun

khali hey daman kisi bhi dalasey sey
khairat hi key chund alfaz dhondti hun

dhurkta hey dil un ki doory ka soch ker
un ki awaz sun ker dil ka sakoon dhondti hun

mer jaon to shayad un ko ho yaqeen
shehr_e_ khamoshan main khud apni jaa dhondti hun

.