banner

Sunday, March 21, 2010

wo maat daita hey hamasha apni jaffa sey..

.
aiy loggo suntey hain badal jati hey taqdeer wafa sey
ham to usey baarha mang baithey khuda sey

naseeb to ham likhwa laeiy hain asman sey
wo maat data hey humaisha apni jaffa sey

uska pakka rang charha hey asa zaat per
na mitt saka wo bhary barsat sey

basa hey mujh main hamaisha sey is terha
nikalna bhi chahon nikelta naheen meri zaat sey

main khojti hoon apney main kami aur ghaltyaan
martaa hey humaisha wo kantoon bhari daal sey

shahyad baad marney key mairay mill jai usko chain
main jeena naheen chahti ab uskey hisaab sey

.

apni hi perchayoun sey derti hoon..

.
dil ki weeraniyon sey derti hoon
andhairi tanhayon sey derti hoon

tum muqqader azmaney ki baat kertaiy ho
main apnaiy aap sey derti hoon

tum ney dia hi kia hey  mujhey
apni ruswayon sey derti hoon

taan hey zukhmon sey choor
ruuh ki attaah gehrayon sey derti hoon

ishq kia hai,bura kaam to naheen
teri jhooti saffaiyon sey derti hoon

iimaan ho chukaa hey mutazalzal meraa
apni hi perchayon sey derti hoon

ab aur kia ujroon gi main
zamaney  ki tabahyon sey derti hoon

.

asaiy ishq sey baaz aiy hum to..

.
zakhm_e_ullfat khaiy howaiy hain
dunya bhar key sataiy howaiy hain

chonkta kun hey meraiy janaa
tujh sey dhoka khaiy howaiy hain

fasana_e_zindagi samujh sakey na hum
umer bhar ki chot khaiy howaiy hain

asaiy ishq sey baaz aiy hum to
ruuh peh apni ghao khaiy howaiy hain

ker dia zindagi ko khokla mairi
bazm_e_yaar sey maar khaiy howaiy hain

taraiy taswur sey abaad hey dil ki dunya
zeest sey thoker khaiy howaiy hain

.

sholoun sey badan jalta naheen..

.
waqt kabhi rukta naheen
yeh dil ab dehelta naheen

zakm_e_yaar sey saja hey dil
ruuh ka ghao ab bharta naheen

khailon chahey aag sey
sholoun sey badan jalta naheen

mehfilon main lagti hoon tanhaa
yeh dil ab sambhalta naheen

chalti hoon tapti raait per
chalon sey der lagta naheen

dhoop ka kia asar ho ga mujh per
sayaa bhi apna lagta naheen

raqeeb lagti hey dunya sari
siyahi_e_naseeb sey dil machalta naheen

.

Saturday, March 20, 2010

meri neend aur mera chain luut gaya..

dil lagaya tha dil ki khoshi key liyay
dil key tukrey howaiy hazaar aur dil luut gaya

toota howa dil laiy key jaon kahan
sir jhukaya tha main ney sir hi luut gaya

dhondney nikli thi chain_e_dil apna
meri neend aur mera chain luut gaya

dil key luutney ki shikayat kis sey keron
basti basai aur apna hi ghar luut gaya

khoshi mili kum aur gham milaiy hazaar
ghamon main hi sab khuch luut gaya

dil ki kismat main naheen shayad koi khoshi
chain na paaya aur zaad_e_raah luut gaya

.

Friday, March 19, 2010

sans laina bhi is dunya main ik azab tha..

.
khawhishon key nager main ik jahan abad tha
band dareechon key pechey chupa ik khawb tha

mosam satatey rahey,yadain rulati raheen
sans laina bhi is dunya main ik azab tha

sapna tha teraiy sang umer bitaiyen
sapney porey hona mairey shahyad ik mazak tha

tu naheen mairey hath ki rekhaoun  ka muqadar
tooti phooti qiamat meri, iska jawab tha

bhar diyaiy tu ney ankhon main chamaktey sitarey
tera sath hona mairaiy sirf ik saraab tha

.

dekhon na kabhi zawal_e_yaar key kissaiy..

.
kho deti hoon humaisha zabt
sunti hoon jub jamal_e_yaar key kissaiy

chingari_e_ishq tabdeel hoti hey sholey main
dekhti hoon jub kamal_e_yaar key kisaiy

chand,sitaron ki hey kia wuqat
samney atey hain jub misaal_e_yaar key kissaiy

mangana chachti hoon khuda sey jub bhi khuch
rehtey hain zehen main sawal_e_yaar key kissaiy

dard_e_dil aur dard_e_jiggar hota hey paida
sochoon jub khiyal_e_yaar key kissaiy

hath ki lakeeron ko khurach daloon gi
likhey hon un main ger wisal_e_yaar key kissaiy

moat sey hamkinar ker dey ab mujh ko
dekhoon na kabhi zawal_e_yaar key kissaiy

.