banner

Tuesday, May 4, 2010

Lagtey thay ujala phir andhairy raat ho gayay..

.
yaad main teri aksar ham gum ho gayay
pehlay thay gulistan ab ham khander ho gayay

beykaran dukh ney lapait main liya wajood ko isterah
lagtey thay ujala phir andhairy raat ho gayay

tujh sey talauk ka dhaga jo jhutkey sey toota
they thathaain marta samandar ab piyasi naadi ho gayay

ashkon ka sailaab_e_rawan hey behta iskudar
ham they behta saghar phir banjar zameen ho gayay

apney wajood main tanhayon ka sanaata hey itna
mehektey gulon sey ab shajr_e_khizaan ho gayay

.

Monday, May 3, 2010

Ghami main bhi khoshi key lamhon ka hisab rukhna..

.
log kehtey hain,tumhari hansi main ik jahan abad tha
tumhara ana buzm main gulistan bhara khawab tha

ab to bus gayay hain weeraney mery zaat main
pehley to meri haseen zindagi logon ko ik jawab tha

meri zaat thi mehfilon main ronaq ka sabab
ghami main bhi khoshi key lumhon ka hi hisab tha

teri zaat sey talauk jura tha jub tak mera
apney hi urooj per bohut mera shabab tha

to ney jo chor diya achanak akaila mujh ko
tera merey sath hona akhir ko ik saraab tha

.

Zindagi hamarey liyay harf_e_malamat ho gai....

.
dard jo ham ko mila hey tujh sey
jeeney sey ham ko nafrat ho gai

dil ki dharakna ho jai band ab to
hai yeh kia hamarey liyay qiamat ho gai

zeher jo phela hey hamari zindagi main
zindagi hamarey liyay harf_e_malamat ho gai

ab kia sunain us ko gham_e_dastan
her tabahi hamari qismat ho gai

ab khuch naheen jis ko lootay ham sey zamana
aiy sanam ja ab tujh ko ham sey fursat ho gai

.

Wahan tum bethey mujhey socho,yahaan main tum ko....

.
zara ik baat mujhey tum batlao
ham ney bhicher key ik dojey sey bhala kia payaa

teri khushyan juda tujh sey,merey sapney khafa mujh sey
ankhon main nami key siwaa ham ney kia payaa

teri ratain sadyan si,aur merey din naheen kattaiey
dil key dard key siwaa ham ney kia payaa

tum ho zidi to ham hain bohut khudsir
judai ki tenha raton key siwaa hum ney kia payaa

wahan tum bethey mujhey socho,yahaan main tum ko
terapti hayaat key siwaa ham ney kia payaa

zara ik baat mujhey tum batlao
ham ney bhicher key ik dojey sey bhala kia payaa
.

Hawa ney sargoshi main sirf tera naam liyaa....

.
teri yaad main bikhri bikhri rehney lagi hoon
her din her peher ab main roney lagi hoon

hawa ney sargoshi main sirf tera naam liya
apni raah sey main phir bhutakney lagi hoon

teri yaad ney jo dastak di zehen per
khuli ankhon sey main phir soney lagi hoon

terey naam ki khusbu phaily hey charon janib
bin piyay phir sey main behekney lagi hoon

phichley peher jo sapna dekha main ney tera
adhi jagee adhi soi sapney sanjoney lagi hoon

bhulaya hi kub tha main ney tujh ko
terey jism ko orh ker phir sey soney lagi hoon

.

Saturday, May 1, 2010

Shayad us ki nazar main ham shahkar naheen..

.
apni qismat per hamian eitbaar naheen
muskaraney ka hamin ikhtiyar naheen

kehlatey they ham chaman ki bulbul
aangan main ab sunti chehkar naheen

kisa_e_dard sunain ab kis ko
dard main hamarey shayud wo pukar nheen

mujasam khawab kaha jata hey hamain
shayud us ki nazar main ham shahkar naheen

karain ab kis dil sey shayri
tujhey nazar kerney ko ab ashaar naheen

.

Terey sath zindagi ki shaam dekhtey..

.
dard to bohut dekhey zindagi main
kaash koi ik khoshi ham bhi dekhtey

is dil ki durkhan ho jati band
jo tujh ko kabhi rubaru dekhtey

per ham is qabil kahan tehrey
terey dil main apni jaa dekhtey

piyaar milnaa to tehri naseebon ki baat
terey sath zindagi ki ik shaam dekhtey

tera mutabasam chehra rehta hey nigahon main
teri sanson main muntaqil apni sansain dekhtey

.