banner

Sunday, May 9, 2010

Teri chahat ko paney key arman bohut hain..

.
dil ko behlaney ko yahan saman bohut hain
teri chahat ko paney key arman bohut hain

apney ujerney ki dastan sunain kis kis ko
ham to pehley hi tangi_e_daman bohut hain

ujrey diyaar ki faseelain nikleen kamzor bohut
yahan dikhaney ko naqli kehkashan bohut hain

chamkeli subeh apna naseeb baney na baney
mahtab ka sath dainey ko zofishan bohut hain

.

Saturday, May 8, 2010

Meri zindagi ajeeb azaab si guzri..

.
meri zindagi ajeeb azaab si guzri
bazaar main biktey soguwar kafan si guzri

daman hi choot gaya uskey hath sey mera
faqt daman_e_taar taar si guzri

chunri main saja bethi mohabat key so rung
bewa ki pekhi muskan si guzri

talabgar thi faqt mohabat key sodey ki
beykar tashteri main saji soghat si guzri

faqt ik khawb hi to sajaya tha manzer main
raat bhar mehw_e_khawb_e_pereshan si guzri

dil key liyay to main sirf dard hi khared saki
yunhen kharey kharey zalzala zudgan si guzri

chaah thi uskey sang ghar bananey ki
koney main peray beykar sar_o_saman si guzri

ik nazar mohabat ki talb thi faqt
mehfil main nachtey majbor khawjasara si guzri

.

Chahtey howey bhi apney sey juda ker nahen pati..

.
kia keron main tujhey bhool nahen pati
aag key is darya ko paar ker nahen pati

ishq ney to berbad ker dia mujh ko
muqadar ko naiy sirey sey kun bana nahen pati

dil sey chahti hoon tera her naqsh mitana
dhotey dhotey bhi naqsh dho nahen pati

tu gerdish kerta hey khoon main meraiy isterah
chahtey howey bhi apney sey juda ker nahen pati

raab attaa keray meri zindagi bhi tujh ko
terey bina janaa ab to ji hi nahen pati

.

Friday, May 7, 2010

Her naya din tumhari hi khabar laata hey..

...
tum kesey ho kahan ho is nagri main
yeh dil mera hamaisha mujh ko batata hey


mujh bin kesey zindagi bitatey ho tum
her naya din tumhari hi khaber laata hey


nazrain fers_e_raah rehti hain deedar ko
sheher bher ka her musafir tum saa nazer ataa hey


gumnami key andhairon main kho gayay bashek tum
her manzer terey khawb sey saja nazer ataa hey


tu kitni baar sochta hey din main mujh ko
meri her sans ka sira tujh tuk hi jataa hey

.

Tum dhondtey hi reh jao gey..

.
kabhi jo hum naheen hon gey

bhala tum kis ko batao gey

apni sari uljhanain ,pashamani main dobey pul

bhala tum kis ko sunao gey

apni ankh key chupey ansou

bhala phir kis ko dikhao gey

bohut beychain aur tanha tum reh jao gey

bohut dhondo gey tum humain mager

tum dhondtey hi reh jao gey

ham na milain gey tumhain phir

tum tanha hi reh jao gey

apney dil ka dard aur chain kahan pao gey

kabhi jo hum naheen hon gey

bhala tum kis ko batao gey

.
...

Wednesday, May 5, 2010

Bad_e_saba us key kaan main holey sey kehna..

.
kanch ki terah toot ker bikher jati hoon bin terey
bazm bhi chup hey aur tanhayan hain bin terey

muztarib hoon teri yaad ko dil main liyay
khamoshi hey dil main weeraniyian hain bin terey

bad_e_saba us key kaan main holey sey kehna
kho gaya hey chain aur beytabiyan hain bin terey

kesey rukain gey merey ashk_e_rawan behtey howey
her teref dukh ki perchaiyan hain bin terey

saraiy mosum mujh ko rulatey hain bohut
dil key angan main ab tabahiyan hain bin terey

.

Zakhmi zakhmi si ab hawain lagti hain..

.
matmi si saari fizaiyain laagti hain
dhoka ab dilber ki adayain lagti hain

loota hey us ney piyaar sey mujhey is qadar
jeenay ki umangain to ab sazayain lagti hain

koi pukaray kitney hi dulaar sey mujh ko
her pukaar zalim ki sadayain lagti hain

mehekti fiza sey mehek sari churali us ney
zakhmi zakhmi si ab hawayain lagti hain

lamhey main tu ney hath jhutka mera isterah
miti miti si hath ki rekhaiyain lagti hain

.