banner

Tuesday, May 18, 2010

chor key apni hansi shab_e_matam na manaya kero..

.
umeedon key diyay mat jalaya kero
kisi key kehney main khabi mat aya kero

bhatka ker log door nikal jatey hain bohut
suhaney sapney ankhon main na sajaya kero

dehektey angaron ki manind hey zindagi apni
chor key apni hansi shab_e_matam na manaya kero

teer jab ho jata hey jiger key aar paar
dil key janey per ansu na khabi bahaya kero

khof key sayai rehtey hon charon janib
naader ban key dil ki naagri  chaley jaya kero

.

Monday, May 17, 2010

alam_e_dewangi mey kahan jaon main..

.
aj bhi terey hijr mey yeh alam hey
lab khamosh aur ankh purnam hey

hosh hey na ab raha josh_e_dunya
zeest mey to ab bappa mehshar_e_gham hey

dard ki shidat naheen ab berdasht key kabil
dil_e_natwan to ab sirf  berham hey

naheen maloom tha parr kerna ho ga aag ka darya
gham_e_mohabat ka na ab bacha koi merham hey

amr bail ki terah lipti hain tamam yadain
uski yadain lachey daar uljha sa rasham hey

alam_e_dewangi mey kahan jaon main
bacha zindagi main yehi andohnak gham hey

.

Monday, May 10, 2010

dosri bar koch_e_yaar ko nikal gayay hum..

.
dosri bar koch_e_yaar ko nikal gayay ham
shikasta dili main hi ab khatam ho gai ham

jo shaks bana phirta tha dunya key liyay nasseh
usey ruuh ka katil apni bana gai ham

ik hi shaks sey dooji baar dhoka mila ham ko
pazmurda dili apni zindagi main kun berha gai ham

zindagi bher jis ko dua deney ko hath uthai ham ney
ab ki baar baddua key liyay uski hath utha gai ham

zindagi to ham main jiti hi naheen
apney hi qaad per lashey ka wazen berha gai

.

Sunday, May 9, 2010

Lehja badal gaya to ab wazhatain kesi..

.
terey cheherey ney achanak hi badla jo rang
lehja badal gaya to ab yeh wazahtain kesi


tujh sey door jana hi muqader tehra ager
ab mujh per yeh teri dhairon inaytain kesi


herjai teri to adaiyn theen hamaisha hi nirali
ab keroon main tujh sey shikayatain kesi


buzm_e_yaar key dhokey main taiy kia saffar bohut
terey liyay taiy keroon ab lambi musafatain kesi

.

Teri chahat ko paney key arman bohut hain..

.
dil ko behlaney ko yahan saman bohut hain
teri chahat ko paney key arman bohut hain

apney ujerney ki dastan sunain kis kis ko
ham to pehley hi tangi_e_daman bohut hain

ujrey diyaar ki faseelain nikleen kamzor bohut
yahan dikhaney ko naqli kehkashan bohut hain

chamkeli subeh apna naseeb baney na baney
mahtab ka sath dainey ko zofishan bohut hain

.

Saturday, May 8, 2010

Meri zindagi ajeeb azaab si guzri..

.
meri zindagi ajeeb azaab si guzri
bazaar main biktey soguwar kafan si guzri

daman hi choot gaya uskey hath sey mera
faqt daman_e_taar taar si guzri

chunri main saja bethi mohabat key so rung
bewa ki pekhi muskan si guzri

talabgar thi faqt mohabat key sodey ki
beykar tashteri main saji soghat si guzri

faqt ik khawb hi to sajaya tha manzer main
raat bhar mehw_e_khawb_e_pereshan si guzri

dil key liyay to main sirf dard hi khared saki
yunhen kharey kharey zalzala zudgan si guzri

chaah thi uskey sang ghar bananey ki
koney main peray beykar sar_o_saman si guzri

ik nazar mohabat ki talb thi faqt
mehfil main nachtey majbor khawjasara si guzri

.

Chahtey howey bhi apney sey juda ker nahen pati..

.
kia keron main tujhey bhool nahen pati
aag key is darya ko paar ker nahen pati

ishq ney to berbad ker dia mujh ko
muqadar ko naiy sirey sey kun bana nahen pati

dil sey chahti hoon tera her naqsh mitana
dhotey dhotey bhi naqsh dho nahen pati

tu gerdish kerta hey khoon main meraiy isterah
chahtey howey bhi apney sey juda ker nahen pati

raab attaa keray meri zindagi bhi tujh ko
terey bina janaa ab to ji hi nahen pati

.