banner

Tuesday, July 20, 2010

beywafa mehbub howa to kia kehney..

.
namaz_e_ishq howi qaza to kia kehney
sehr_e_mehbub mit gaya to kia kehney

taptey sehra men qadmon key nishan kia rahen
manzil ho gai ger door to kia kehney

wafa ka matlab samajhney main howi dair
beywafa mehbub howa to kia kehney

faza main uski rachi thi mehek
jharokey hawaband howey to kia kehney

.

Monday, July 19, 2010

khawbon ki dharti per hi terey sang thi..

.
meri zindagi ibtida sey ajab dhang thi
yadon ki chadar pehley hi bari badrang thi

shehr_e_yaar key qisey azber howey phir bohut
uski yadon ki zehen sey bari jang thi

thi yadon key jharonkon main mehakti faza
khawbon ki dharti per hi terey sang thi

dil to ban gaya ik weran jazera phir
na ab rahi jeeney ki koi umang hi thi

.

Sunday, July 11, 2010

apna hi dhundla aaks usko dikhain kia..

.
kisi key apna kehney per ham lut jain kia
bigirey naseeb ko hathon sey banaiyan kia

wafa un jaison ka shewa nahen hoti
totey kanch per chal ker us tak jain kia

dhool jamey aina men ham  dekhain kesey
apna hi dhundla aaks usko dikhain kia

timtimati lou sath de gi kahan tak mera
diyay ko pani sey ham ab jaliyain kia

urtey lamhon ko qaid kerna asan nahen hey
saraktey waqt ki zanjeer sey muqader banain kia

.

Sunday, July 4, 2010

sarey khail to uski mohabat ney rachai they..

.
dill key taaq men rakhey charagh jitney jalai they
chaar soo uskey raqs kertey saiy they

charon janib dhanak rang hen bikhrey sey
sarey khail to uski mohabat ney rachai they

taroon ki baraat ney orh liya asman ko
naghma_khushi usi ney meri ruh men basai they

dil_o_jiger men bappa tha matam merey
dimagh men lagey sarey jaley usi ney hatai they

.

kiwar apney ap ab khul sey gai hen..

pohanch ker sahil tak kuch thak sey gai hen
apney ap men ham khuch mer sey gai hain

dill key taaq per rakhey sarey diyay
ab apney ap hi jal sey gai hain

madham lo men rasta kahan tek dikhta
roshen saiy her soo phail sey gai hain

dil k phatak per lag gaya tha zang
kiwar apney ap ab khul sey gai hen

siyah rang tha din,raat jasa ab tak
shehr charaghan sarey ab sey ho sey gai hen

pass_e_wafa ki tarqeeb malum nahen ham ko
tilsem_e_mehbob key taswer men kho sey gai hen

.

raah_e_mehboob ko pholon sey saja dena..

.
raah_e_mehboob ko pholon sey saja dena
phir chahay mujh ko jo saza dena

sang hun jesey chahay tarashna mujh ko
phir chahay bharey samander men baha dena

men chahi muradain na mil pai hain khabi
bana key rakh meri hasti hi mitaa dena

kocha_e_khak men nishaan ruktey nahen kabhi
badan pey merey hazaron zakham nai laga dena

kitab_e_zindagi per pehala meri,kajal rang
shera_e_khamoshan men mujh ko ley ja ker phir basa dena

.

qurb_e_yaar ki tamana ney her lamha behalaya mujhey..

.
ziker_e_yaar ney raaton ko terpaya mujhey
her ankh ney jholi bher bher ashk pilaya mujhey

din raat lagtey hain ik jesey mujh ko
milan aas ney isharaten bulaya mujhey

teri yaad ney tour diya hey ab to
qurb_e_yaar ki tamana ney her lamha behalaya mujhey

jewan hey mera tapta sehra bohut
her chamaktey zerey ki chamak ney jalaya mujhey

sunsaan weraney uteray hain zaat men meri
zeest ney dagmagateu kadmon chalaya mujhey


.