banner

Friday, October 22, 2010

kisi key janey sey zindagi men kami nahen hoti.......

.
tamanaiyan jal key khakster ho jain chahay
kisi key janey sey zindagi men kami nahen hoti

ik hi waqt nikal jain jab sarey ansu
ankhon main hamesha hi phir nami nahen hoti

gardish e ayyam chahey guzer jain choo ker
hamesha hi chehray peh gerd jami nehi hoti

oass pertey hi murjha gaiyen ashaiyen
dil ki rahguzer phir bhi shabnami nahi hoti

.

Wednesday, October 20, 2010

ujrey diyar ko lipat key ab rona kesa......

.
kanton bherey rastey kehkashan ker dey ga
udas ruh main taza gulab bhar dey ga

gham e zeest kia kia imtihan aur ley gi
urti rait ko rang e sailab ker dey ga

zaat sey zyada us per yaqeen hey itna
peekhi muskan ko kehkaha saz ker dey ga

ujrey diyar ko lipat key ab rona kesa
zindagi meri khushi sey hamkinar ker dey ga

.

Thursday, September 9, 2010

Ehsas_e_forteen (14) August

.
yeh watan amn_o_atishi ka gehwara hota
kia hota jo yeh khawb hamara hota

firqa waryat sey her kisi ko kinara hota
kia hota jo yeh khawb hamara hota

ehdo_o_peman ki ahmiat ka andaza hota
kia hota jo yeh khawb hamara hota

qom ka her fard aala masihai ka manba hota
kia hota jo yeh khawb hamara hota

azadi_e_watan ki roshni men her soo izafa hota
kia hota jo yeh khawb hamara hota

pasdar_e_wafa ki janib her qadam berha hota
kia hota jo yeh khawb hamara hota

.

Friday, August 20, 2010

ham ney beywafa mizaj kab dekhey they..

.
kali ankhon sey berey khawb dekhey they
azab hi zindagi men lajawb dekhay they

phati chunri ko dhoun kab talaq
rangly chunri key sirf tar tar dekhay they

uski adaon ka tha rang hi nirala
ham ney bewafa mizaj kab dekhey they

uskey der peh kharey bilaktey bharaktey rahey
kab asey ujertey shabab dekhay they

manzil ki janib ik kadam berha key dekha
kehkashan rastey hotey kab sarab dekhay they

wafa ki thi arzoo jis sey ham ko
hasti_e_pyar men bewafai key salaab dekhey they

hamain sumajney ki justuju hi na thi usko
uskey hathon sapney chur chur behisab dekhey they
.

Wednesday, August 11, 2010

dil men bheri kasafatain sari..

.
hijr_o_wasl ki azytain sari
skun sey kati musafatain sari

dunya ko dikhaney ko thi mohabat uski
dil men bheri kasafatain sari

dikhawey ko na badla dil uska
ruh men penhan wehshatain sari

apney wajud sey raha  beykhaber wo
zmaney bher sey then shikayatain sari

.

mohabat key siwa gham hi gham sang they..

.
beyrukhy key us ki ajeeb dhang they
chunry pey meri dhanak rang they

mohabat ka chola utar phanka usney
lagey uski yadon pey beray zang they

bichery mohabat kahan tak sath deti
yadon men basey uski soo rang they

phekey muskan hey zindagi ki sathi
mohabat key siwa gham hi gham sang they

.

Monday, July 26, 2010

chaltey chaltey rasta sara guzer jata hey..

.
ankhain bheeg jati hain mosum guzer jata hey
din pura yunhi behktey behktey guzer jata hey

dukh key sagher men dobey rehtey hain bohut
labon per pheky muskan sajaiy guzer jata hey

pagdandiyan aur mushkil rahen hon jitni
chaltey chaltey rasta sara guzer jata hey

rafaqatain jholi bher bher deti hain dukh
insan sumujhney men waqt sara guzer jata hey

mohubton key rastey saraab sey lagtey hen
bey kali_e_dil ko rondney men waqt unhi guzer jata hey

.