.
ham gum sum sey they kisi ney pucha bhi nahenrehguzer sey jis guzrey kisi ney roka bhi nahen
sath jewan bitana to khawb tehra mera
murr ker kisi ney phir kabhi dekha bhi nahen
jitney they sitam,sab dhaa diyay us ney
gherey zakham per merham to phir rakha bhi nahen
dilasay deta ho gaya andhairon main gum
diyay ko umeed key taaq main phir rakha bhi nahen
andhairon ki adat ho gai hey mujh ko
ujalon ka zaiaqa to kabhi chakha bhi nahen
fasaney ki ibtida reh gai udhuri si
apni kahani ka anjam phir likha bhi nahen
