banner

Saturday, April 23, 2011

silsala yeh jana kab tak unhi chaley ga...........

 .
silsala yeh jana kab tak unhi chaley ga
rutha sajan mujh sey kab aan miley ga

din raat guzertey hain jis beykali main
basti_e_dil  main kab mehekta gull khiley ga

chah main teri kab tak safar kerain janhan ka
diyar_e_mehboob ka pata akhir kab chaley ga

zakhm sey nasur bantey dair naheen lagti
dukhon key sagher main khushi ka diaa kab chaley ga

.

Thursday, April 21, 2011

ik chehrey pey kai chehrey sajey hain dunya key...

 .
nafrat si ho gai is beywuqat zindagi sey
janey kia sila miley ga is bandagi sey

siaah raton ki tanhaai sey lagta hey der
bujhi bujhi  si rehti hun is sharmindagi sey

ik chehrey pey kai chehrey sajey hain dunya key
daaman bachaon kesey kisi ki darindagi sey

a bhi jao ger faraib_e_ulfat mey kabhi
bach key raho phr zamaney ki gandagi sey
 .
.

Wednesday, April 20, 2011

tujh ko chahney ka yeh sila mila hey mjuh ko...........

 .
tujh ko chahney ka yeh sila mila hey mjuh ko
chalney ka khizan raston pey hukum mila hey mjh ko

behtey ashkon ki rawani ko kia kahun mey
moj_e_rawan main behney ka hosla mila hey mujh ko

khojti hun tujh mey apney aks  ko kaheen
faqt ik machlta bilakta saya mila hey mujh ko

khudfarabi key sarey andaz muqeed hen mujh mey
derd_e_dil beykaran phir kiun mila hey mujh ko

.

Monday, February 14, 2011

hath aya bhi to zaat ka akela paan.....

 .
ghalti hoi jo baharon ka khawb dekha
dil angan mey masalta howa gulab dekha

sunsan nagri ki udas basi tehri
ankhyun sey,umer bher jhilmilata azab dekha

bin mosam bersat bani rahi muqadar mera
sulagtey lehjon  ka titharta mijaz dekha

hath aya bhi to zaat ka akela paan
piyar ki surat sisakta sarab dekha

.

Sunday, February 13, 2011

ishq_e_gardab mey phans ker aina hi torr betehy......

 .
hajum_e_bekaran mey apna ap kho  bethey
na janey kis bey derd ko ham dil dey bethey

shakh_e_ umeed to ik din bhi na khil saki
sath gulon key khar sey daman bher bethey

fuzul hi tey kia safar_e_zeest ham ney
usko paney ki chah mey til til mer bethey

beysakuni si beysakuni palti rahi qalb mey
khawhish_e_aab mey bond bond ko taras bethey

mahjabeen hain,dilnasheen hain jantey hain ham
ishq_e_gardab mey phans ker aina hi torr bethey

.

Monday, January 24, 2011

khail ye khela jai zaruri to nahin....

 .
dil lutney ki khaber ho aam zaruri to nahin
piyar apna ho majbur zaruri to nahin

tamasha ho apna sar_e_bazar
khail yeh khaila jai zaruri to nahin

mil jai her ik ko apni manzil
her ik choo ley asman zaruri to nahin

sab hain apni zaruraton key qadi
bin musafat  thak jain zaruri to nahin

dhaidron derd ho penhaan dil main
 muskrahat saja lain lab pey zaruri to nahin

.

Tuesday, January 11, 2011

khun asham bani tamana si guzer gai................

 .
ik sham thi wo bhi guzer gai
nam per terey umer tamam guzer gai

beykhawbi si beykhawbi tari rahi hamesha
bina neend hi raat sari guzer gai

had_e_nazar andherey ka basera hi raha
umeed_e_kiran beysabab unhi guzer gai

alam_e_hijr ki takleef koi puchey to sahi
khun asham bani tamana si guzer gai

na janey kis jurm ki padash main
zindagi tamam saza si guzer gai

.