banner

Friday, April 30, 2010

Reh jaian na hathon key lums baqi..

.
anjan hoon ishq_e_saffar sey shayhad
lafz_e_ishq sey ab derney lagi hoon

bhatak na jaon kaheen weeran junglon main
khawbon sey ab derney lagi hoon

ghaiyl ruuh liyay jaon kahan
teer_e_nazar sey ab derney lagi hoon

door bhagti hoon mehbub_e_muhjasam sey
inayton sey ab derney lagi hoon

ho ga kia fasan_e_anjaam bhala behter
kahanyon sey ab derney lagi hoon

reh jaian na hathon key lums baqi
banhon sey ab derney lagi hoon

apney sey wabasta ker ley mujh ko
zindagi sey ab derney lagi hoon

.

Dam_e_ulffat main na giraftar kerna ab kisi ko..

.
Itna to merey haal per ihsan kia ker
muft main na mujhey badnaam kia ker

malamat kerta hey dil bar bar mujh ko
merey gird na to ishq ka ab hisaar kia ker

qalb per merey tu chor bhi dey qabza
aur na mujh ko ab tu zair_e_baar kia ker

dhurkanon key chalney ka kisa to umer bhar chaley ga
mujh ko daboney key tareekey na tu ikhtyaar kia ker

dam_e_ulfat main na giraftar kerna ab kisi ko
bey sammer meherbanyon sey ab tu ihteraz kia ker

.

us key naam per phir kun nikel atey hain ansu..

.
merey her lafz sey tapakta hey ansu
mera dil rota hey khun key ansu

lahoo rang lagti hey mujhey apni likhai
nam ankhon sey behtey hain bohut ansu

dil ki kitab ka phatta hey her warq
mita deta hey her lafz ko mera ansu

dukh ki leher kerwatain keti hey mujh main
gira deta hey mohabat ki her lakeer ko ansu

sehmati hey is dunya ki fiza mujh ko
laal rang nazar atta hey mujhey apna her ansu

chilman key pechey chup gai hoon main
us key naam per phir kun nikel atey hain ansu

.

bhatakti ruhh ko meri weeraney dey diayay..

.
chand lamhey us ney mujhey musta_a_rr dey diayay
dhair sarey gham phir bey had_o_hisab dey diayay

ruhh ko dard ki soghaat sey ashnaa ker dia
ankhon ko ashk_e_rawan musalsal dey diyay

pehley hi khizaan rasida thi meri zindagi
sukhey pattey oss samait nazraney dey diyay

apney sarey rishton ki thi us ko bery fiqr
bhatakti ruhh ko meri weeraney dey diayay

lafz_e_eitbar main daal deen dararain us ney
soch ko meri phir thikaney hazaron dey diyay

.

fehm_o_farasat sey rasta badal jaya kero..

.
muttabasam chehron pey mat jaya kero
khoon_e_dil na yun jalaya kero

sud_o_ziyaan sey to ham ho chukey aari
dukhrey na kisi ko ab sunaya kero

dharken_e_dil chalney sey hey inkari
behlawon sey khud ko na behlaya kero

koi khawb dikhai sitaron key tum ko
fehm_o_farasat sey rasta badal jaya kero

tenha rehna acha hey zindagi bher
zahiri shaksiyat per mat jaya kero

.

Wednesday, March 24, 2010

sapnon ki kirchyaan chubhney lagti hain ankhon main..

.
khoon_e_dil sey naam un ka likh ker mitati hoon
barhaa yeh kertey howey phir thaak si jati hoon

sapnon ki kirchyaan chubhney lagti hain ankhon main
 akhir main tanha hi kun reh jati hoon

ruuh main gonjti siskyaan ho jati hain buland
phir apney aap ko kosney main lag jati hoon

chala kerti hoon main bhatki ruuh ki manind
apney aap sey phir kun chupney lag jati hoon

juda hota kun naheen zehn_o_dil sey merey
is ass  main phir zeher peenay lag jati hoon

.

meri waja sey her ik museebat khari hey..

.
ankhon main naami honton pey hansi hey
na janey dil main kun beykali hey

sab ilzam aa gaaiy hamarey sir
yeh konsey imtihan ki ghari hey

tum khush raho jahan bhi raho
zakhmon  main abhi tuk takleef bhaari hey

nasoor hey meri zaat is samaj key liyay
meri waja sey her ik museebat khari hey

dil key tootney ka na poocho ham sey
zindagi sari azmaishyon sey juri hey

.