apna bana key chor gaya wo mujh ko
zehr amrit bana key pila gaya wo mujh ko
dekh meri badnasebi ka kia alam hey
zindagi mot ki surat dey gaya wo mujh ko
zameen per qadmon key nishan mit hi jatey hen
zameen_e_dil pey kadmon key nishan dey gaya wo mujh ko
jewan key dhanak rang achey hen sab hi
badnuma mohabat ki siyahi dey gaya wo mujh ko
gul_o_gulzar rastey zindagi men hain bohut
kanton bhery rahguzer pey chalaya gaya wo mujh ko
