banner

Saturday, November 21, 2009

sanum bohut pyar kertay hain............

milain gey to tum ko batain gey hum

kitney beykarar hain sunain gey tum ko hum

sunum bohut pyar kertay hain tum ko hum

kasay guzarey hain hum ney tumharey bin din

bohut jald tum ko yeh batain gey hum

sunum bohut pyar kertay hain tum ko hum

pul guray bun key sudyan hum pur

tujh bin kesay soey,zaror yeh batain gey hum

sunum bohut pyar kertay hain tum ko hum

dil khol ker kasay dikhain tum ko

sarey razon sey purda uthain gey hum

sunum bohut pyar kertay hain tum ko hum


,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

hath ki lakeeron sey nikul gya..............

hath ki lakeeron sey tu aisey nikul gaya

do kudum chali main aur pair phisul gaya

chot laga ker tu tau asay chala gaya

chalta rusta,samney meray jasay ruk gaya

seedhay rustey ko pugdundi tu bana gaya

meri kismut ko jasay tala laga gaya

sukon ko meray gharut tu ker gaya

bey sakuni ko naseeb mera bana gaya

chaltay chaltay phir bheer main tu kho gaya


,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

udhori chahut..............

teri udhori chahut ko galey lagaya hum ney

jub say aj tuk us ko nibhaya hum ney

teri aas main kisi sey hath na milaya hum ney

bey wafa ka khitab sun ker bhi wafa ko nibhaya hum ney

bheegi palkon ko bhi na aj tuk sukhaya hum ney

teri laperwahi ko phir seenay say lagaya hum ney

munzil ko samney dekh ker bhi ankhon ko churaya hum ney

teray khawbon sey apni zindagi ko jugmugaya hum ney


,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

dil ney ab rasta takna........................

dil ney ab rasta takna chor diya hey

apney ap ko tanhai ki mehfil sey jor dya hey

sirf teri muskurahut ki khatir jeena chor dya hey

armanon ko sula ker sapney bunna chor dya hey

dil ney ab rasta takna chor diya hey

teri deed ki khatir palkain jhapakna chor dya hey

tujh sey milan ki khatir bohutun sey milna chor dia hey

dil ney ab rasta takna chor diya hey


,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

jewun key din tanha.............

meri rooh main chubhey kantey tujhey pukarain
jewun key din tanha kasay guzarain hum


apney zehen key tasawur ko hum kasay nikharain
jewun key din tanha kasay guzarain hum


hum apni zindagi karusta kasay sudharain
jewun key din tanha kasay guzarain hum






,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Wednesday, November 18, 2009

teray pyyar ney.............

teray pyyar ney nikhar dya mujhay
zindagi sey door moat say humkinar kia mujhay

teray lehjey ki khunuk yaad hey mujh ko
bolney ka huner sikha dya mujhey

mera rothna aur tera manana kis kam ka
teray khyal ney chatan bana dya mujhey

ub to ansowon ko penay ki adut si ho gai
teri pukar ney sumundur bana dya mujhey

main bhutuk na jaon kisi aur rustey pur
hawaon ney is khyal say galay laga lya mujhey


,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Tuesday, November 17, 2009

munjanib_e_ suffur...................

main munjanib_e_suffur hoon
abhi hijr ki musafaton main hon

her taruf kathanyan hain rahon main
main apni hi zaat key fakher main hoon

meri rah per na chalna logon
main buri halatey zaar main hoon

ghuror aur ghumund ney tor dya mujhey
kadyon ki tarha seap main bund hon main

mera chulbula pun khan kho gya
ub to sirf dharti_e_khak hon main

meri iztarabi kafyat ka na pocho
akhri manzil ki taruf rawan dawan hon main

dum niklay to niklay kis terha mera
us key uthey hathon key intizar main hon main

mohubbet aur hijr ka phulsufa na sumujh a saka mujhey
per us key sath ki talash main hoon main


,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,