main munjanib_e_suffur hoon
abhi hijr ki musafaton main hon
her taruf kathanyan hain rahon main
main apni hi zaat key fakher main hoon
meri rah per na chalna logon
main buri halatey zaar main hoon
ghuror aur ghumund ney tor dya mujhey
kadyon ki tarha seap main bund hon main
mera chulbula pun khan kho gya
ub to sirf dharti_e_khak hon main
meri iztarabi kafyat ka na pocho
akhri manzil ki taruf rawan dawan hon main
dum niklay to niklay kis terha mera
us key uthey hathon key intizar main hon main
mohubbet aur hijr ka phulsufa na sumujh a saka mujhey
per us key sath ki talash main hoon main
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,