banner

Wednesday, February 10, 2010

janaa kurbuton ka dawa nahee tujh ko

.
janaa kurbatun ka dawa nahee tujh ko
kia kia phir yaad dilaon tujh ko

munh phair ker muskuraya tha ik din
yaad dila ker kia sataon tujh ko

un kahi batian biyan kerti thi tery nazrain
apnay hi ishq ki kia kahani sunaon tujh ko

ehd-e-wafa ka gur irada na tha tera
ujrey dil ka fulsafa phir kia bataon tujh ko
.