banner

Sunday, June 20, 2010

kiun weeran abadiyun sey derti hun main..

.
tanha khawhison key jangle bhatekti hun main
kiun weeran abadiyun sey derti hun main

chali ati hey chupkey sey koi khushi mujh tak
do dhari talwar per chalti chali ati hun main

adi hun dhukhon key bojh ki itni
hansti gati zindagi ko roti jati hun main

sarey saz dam tor gai hain mujh main
zameen per reh ker asman ko choo ati hun main

.